KhAt...

 

Aaj kayi dino baad radio sun rahi thi, kisi ki pharmaish ka geet baj raha tha "phool tumhe bheja hai khat mei, phool nahi mera dil hai" lata mangeshkar aur mukesh ji ki awaaz mei.. Tabhi muje dhayan aaya ki  mujhe bhi toh kisi ko khat likhna hai, ab jab jubah saath naa de toh kalam ka sahara lena hi pdta hai.. Wo kya hai mai thodi filmy hoon, mujhe lagta hai ki filmo mei jis tarah se prem ka izhaar dikhaya jaata hai, wo sach mei bhi ho sakta hai toh kyun na koshish karke dekha jaaye.. Ab kya tha kalam aur kagaz uthaya aur likhana suru kiya..

....

Acha suno,
Ek izaazat chahiye thi tumse
Tumhare waqt ki ek shaam chahiye thi
Do cup Chai ka saath rakhenge
Tumhari pasandida kitaab pe baat karenge
Mai tum par apne waqt rukne ki daasta kahungi
Tum chaho toh has kar pagal keh dena
Mai tumhari muskuraahat mei apni duniya ek baar fr samait lungi..

...
Tumhe btana hai,
Ki mai bht si baaton ko nahi maanti
Par Maang leti hoon tumhe,
har tutte taare se
Sawan mein rakhe har somvar k vrat se
Ped pe baandhe har ek dhaage se
Aur har raat chaand aur apni diary se.

...
Tum mujhe fr pagal keh doge shyd aur is dafa mai sar jhuka lungi,
Kyunki mai kehna chahti hoon ki
Tumhari aankhon mei dekhkar yeh duniya behtar lgti hai
Tumhari har hasi jaane kyun apni si lagti hai
Tumhari saadgi pe mai sab haar baithi hoon
Tumhare noor ki roshni har adhere se door rakh leti hai.. 


.. Aur
Aakhir mei poochna tha ki,
tum palat kar kabhi dekhoge kya
Apne daro ko mere sang baantoge kya
Is khat ka jawab kabhi likhoge kya
Aur
Mere saath kuch kadam badhaoge kya..


.........
Khat likh kar mene jese hi diary k andar rakha mujhe waha ek safed gulab rakha dikhayi diya,mene us gulaab ka kuch hissa khat k bhitar rakh diya, aur ek baar fr chaand ki taraf dekh diary ko band kr diya..

-A















































Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

कुछ अधूरा सा...!!!

When I said no to a trip..